Friday, June 10, 2011

har tamaashaa_ii faqat saahil se manzar dekhataa



har tamaashaa_ii faqat saahil se manzar dekhataa 
kaun dariyaa ko ulaTataa kaun gauhar dekhataa 

[tamaashaa_ii=spectator; faqat=merely; saahil=river side] 
[ma.nzar=spectacle/show/view; gauhar=pearl] 

vo to duniyaa ko merii diivaangii Khush aa ga_ii 
tere haatho.n me.n vagarnaa pahalaa patthar dekhataa 

[vagarnaa=otherwise] 

aa.Nkh me.n aa.Nsuu ja.De the par sadaa tujh ko na dii 
is tavaqqo par ki shaayad tuu palaT kar dekhataa 

[sadaa=call; tavaqqo=hope] 

merii qismat kii lakiire.n mere haatho.n me.n na thii.n 
tere maathe par ko_ii meraa muqaddar dekhataa 

[qismat=fate; lakiire.n=lines; maathe=forehead]
[muqaddar= destiny/fate] 

zindagii phailii hu_ii thii shaam-e-hijraa.N kii tarah 
kis ko itanaa hausalaa thaa kaun jii kar dekhataa 

[shaam-e-hijraa.N=evening of separation; hausalaa=strength] 

Duubane vaalaa thaa aur saahil pe cheharo.n kaa hujuum 
pal kii mohalat thii mai.n kis ko aa.Nkh bhar ke dekhataa 

[hujuum=crowd; mohalat=(free) time] 

tuu bhii dil ko ik lahuu kii buu.Nd samajhaa hai 'Faraz' 
aa.Nkh gar hotii to qatre me.n samandar dekhataa 

Read more »

Har Tamashai Faqat Sahil Se Manzar Dekhta


sun to sahii jahaan main hai teraa fasaanaa kyaa
kahti hai tujh se Khalq-e-Khudaa Gaibanaa kya
zina saba kaa Dhundati hai apni musht-e-Khaak
baam-e-baland yaar ka hai astana kya
ati hai kis tarah se meri kabz-e-ruuh ko
dekhun to maut dhund rahe hai bahana kya
betab hai kamal hamara dil-e-aziim
mahmaan saray-e-jism ka hoga ravana kya
Read more »

Gile Fuzul The Ahad-E-Vafa K Hote Hue


gile fuzul the ahad-e-vafa k hote hue
so chup raha sitam-e-narava k hote hue
ye qurbaton main ajab fasle pare k mujhe
hai ashna ki talab ashna k hote hue
vo hilagar hain jo majburiyan shumar karain
chirag ham ne jalayen hava k hote huye
na kar kisi pe bharosa k kashtiyan dubin
khuda k hote huye nakhuda k hote huye
kaise khabar hai k kasa-ba-dast phirte hain
bahut se log saron par huma k hote hue
'Faraz' aise bhi lamhen kabhi kabhi aye
k dil girifta raha dilruba k hote hue

Read more »

Faraz Ab Koi Sauda Koi Junun Bhi Nahin



'Faraz' ab koi sauda koi junun bhi nahin
magar qarar se din kat rahe hon yun bhi nahin
lab-o-dahan bhi mila guftagu ka fun bhi mila
magar jo dil pe guzarati hai kah sakun bhi nahin
meri zuban ki luknat se badguman na ho
jo tu kahe to tujhe umr bhar milun bhi nahin
'Faraz' jaise koi diya turbat-e-hava chahe hai
tu pas aye to mumkin hai main rahun bhi nahin
Read more »

Dil Bhi Bujha Ho Sham Ki Parchaiyan Bhi Hon



Dil bhi bujha ho sham ki parchaiyan bhi hon
mar jaiye jo aise main tanhaiyan bhi hon
ankhon ki surkh lahar hai mauj-e-suparadagi
ye kya zarur hai ke ab angaraiyan bhi hon
har husn-e-sada lau na dil main utar saka
kuch to mizaj-e-yar main geharaiyan bhi hon
duniya ke tazakire to tabiyat hi le bujhe
bat us ki ho to phir sukhan araiyan bhi hon
pahale pahal ka ishq abhi yad hai 'Faraz'
dil khud ye chahata hai ke rusvaiyan bhi hon

Read more »

Chere Main Ne Kabhi Lab-O-Rukhsar Ke Qisse


chere main ne kabhi lab-o-rukhsar ke qisse
gahe gul-o-bulbul ki hikaayat ko nikhaaraa
gahe kisi shahazaade ke afsane sunaaye
gahe kyaa duniyaa-e-paristaan kaa nazaaraa
main khoyaa rahaa jin-o-malaik ke jahaan main
har lahajaa agarche mujhe aadam ne pukaaraa
barason yon hi diljami-e-aurang ki khaatir
sau phuul khilaaye kabhi sau zakhm kharide
main likhataa rahaa hijv bagaavat manshon ki
main parhataa rahaa qasrnashinon ke qaside
ubharaa bhi agar dil main koi jazabaa-e-sarkash
is khauf se chup thaa ke koi honTh na si de
lekin ye tilismaat bhi taa der na rah paaye
aakhir mai-o-minaa-o-daf-o-chang bhi TuutTe
yon dast-o-garebaan huaa insan-o-khudaaband
nakhachir to tarape qafas-e-rang bhi TuuTe
is kashmakash-e-zarraa-o-anjum ki fizaa main
kashkol to kyaa afsar-o-aurang bhi TuuTe
main dekh rahaa thaa mere yaaron ne barhakar
qaatil ko pukaaraa kabhi maqtal ko sadaa di
gahe rasn-o-daar ke aagosh main jhuule
gahe haram-o-dair ki buniyaad hilaa di
jis aag se bharpuur thaa maahaul kaa sinaa
wo aag mere lauh-o-qalam ko bhi pilaa di
aur aaj shikastaa huaa har tauq-e-talaai
ab fan meraa darbaar ki jagir nahin hai
ab meraa hunar hai mere jamahuur ki daulat
ab meraa junon kaif-e-taazir nahin hai
ab dil pe jo guzaregi be-Tok kahongaa
ab mere qalam main koi zanjir nahin hai

Read more »

Beniyaaz-E-Gam-E-Paimaan-E-Vafaa


beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa
tum bhii auron kii tarah mujh se judaa ho jaanaa
main bhii palakon pe sajaa longaa lahuu kii bondain
tum bhii paabastaa-e-zanjiir-e-hiinaa ho jaanaa
Khalq kii sangzanii merii Khataaon kaa silaa
tum to maasuum ho tum duur zaraa ho jaanaa
ab mere vaaste tariyaq hai ilhaad kaa zahar
tum kisii aur pujaarii ke Khudaa ho jaanaa

Read more »

Barason Ke Baad Dekhaa Ik Shakhs Dilrubaa Sa


barason ke baad dekhaa ik shakhs dilrubaa sa
ab zahan main nahin hai par naam thaa bhalaa sa
abaruu khinche khinche se aankhain jhuki jhuki si
baatain ruki ruki si lahajaa thakaa thakaa sa
alfaaz the ke jugnuu aavaaz ke safar main
ban jaaye jangalon main jis tarah raastaa sa
khvaabon main khvaab us ke yaadon main yaad us ki
nindon main ghul gayaa ho jaise ke ratjagaa sa
pahale bhi log aaye kitane hi zindagi main
wo har tarah se lekin auron se thaa judaa sa
agali muhabbaton ne wo naamuraadiyaan din
taazaa rafaaqaton se dil thaa daraa daraa sa
kuchh ye ke muddaton se ham bhi nahin the roye
kuchh zahar main bujhaa thaa ahabaab kaa dilaasa
phir yon huaa ke savan aankhon main aa base the
phir yon huaa ke jaise dil bhi thaa aabalaa sa
ab sach kahain to yaaro ham ko khabar nahin thi
ban jaayegaa qayaamat ik vaaqiaa zaraa sa
tevar the berukhi ke andaaz dosti ke
wo ajanabi thaa lekin lagataa thaa aashnaa sa
ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit
naahaq thaa zonum ham ko jab wo nahin thaa pyaasa
ham ne bhi us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan
apanaa bhi haal hai ab logo 'Faraz' kaa sa

Read more »

Badan Main Aag Si Cheharaa Gulaab Jaisaa Hai


badan main aag si cheharaa gulaab jaisaa hai
ke zahar-e-gam kaa nashaa bhi sharaab jaisa hai
kahaan wo qurb ke ab to ye haal hai jaise
tere firaaq kaa aalam bhi khvaab jaisa hai
magar kabhi koi dekhe koi parhe to sahi
dil aainaa hai to cheharaa kitaab jaisa hai
wo samane hai magar tishnagi nahin jaati
ye kyaa sitam hai ke dariyaa saraab jaisa hai
'Faraz' sang-e-malaamat se zakhm zakhm sahi
hamain aziz hai khaanaakharaab jaisa hai

Read more »

Aise Chup Hain Ke Ye Manzil Bhi Kari Ho Jaise


aise chup hain ke ye manzil bhi kari ho jaise
teraa milanaa bhi judaai ki ghari ho jaise
apane hi saaye se har gaam laraz jaataa hon
raaste main koi divaar khari ho jaise
manzilain duur bhi hain manzilain nazadik bhi hain
apane hi paaon main zanjir pari ho jaise
kitane naadaan hain tere bhulane vaale ke tujhe
yaad karane ke liye umr pari ho jaise
aaj dil khol ke roye hain to yon Khush hai 'Faraz'
chand lamhon ki ye raahat bhi bari ho jaise

Read more »

Ab Naye Sal Ki Mohlat Nahin Milne Vali


ab naye sal ki mohlat nahin milne vali
a chuk ab to shab-o-roz azabon vale
ab to sab dashna-o-khanjar ki zuban bolte hain
ab kahan log muhabbat k nisabon vale
zinda rahne ki tamanna ho to ho jate hain
fakhtaon k bhi kirdar uqabon vale
na mere zakhm khile hain na tera rang-e-hina
mausam aye hi nahin ab k gulabon vale

Read more »

Ab Kis Ka Jashn Manate Ho Us Des Ka Jo Taqsim Hua


ab kis ka jashn manate ho us des ka jo taqsim hua
ab kis k git sunate ho us tan-man ka jo do-nim hua
us khvab ka jo reza reza un ankhon ki taqdir hua
us nam ka jo tukra tukra galiyon main be-tauqir hua
us parcham ka jis ki hurmat bazaron main nilam hui
us mitti ka jis ki hurmat mansub udu k nam hui
us jang ko jo tum har chuk us rasm ka jo jari bhi nahin
us zakhm ka jo sine pe na tha us jan ka jo vari bhi nahin
us khun ka jo badqismat tha rahon main bahaya tan main raha
us phul ka jo beqimat tha angan main khila ya ban main raha
us mashriq ka jis ko tum ne neze ki ani marham samajha
us magrib ka jis ko tum ne jitna bhi luta kam samajha
un masumon ka jin k lahu se tum ne farozan raten kin
ya un mazlumon ka jis se khanjar ki zuban main baten kin
us mariyam ka jis ki iffat lutti hai bhare bazaron main
us isa ka jo qatil hai aur shamil hai gamkhvaron main
in nauhagaron ka jin ne hamain khud qatl kiya khud rote hain
aise bhi kahin damsaz hue aise jallad bhi hote hain
un bhuk nange dhanchon ka jo raqs sar-e-bazar karain
ya un zalim qazzaqon ka jo bhes badal kar var karain
ya un Jhute iqraron ka jo aj talak aifa na hue
ya un bebas lacharon ka jo aur bhi dukh ka nishana hue
is shahi ka jo dast-ba-dast ai hai tumhare hisse main
kyon nang-e-vatan ki bat karo kya rakha hai is qisse main
ankhon main chupaye ashkon ko honthon main vafa k bol liye
is jashn main bhi shamil hun nauhon se bhara kashkol liye

Read more »

Ab Ke Tajdid-E-Vafa Ka Nahin Imkan Jana


ab ke tajdid-e-vafa ka nahin imkan jana
yad kya tujh ko dilayain tera paiman jana
yon hi mausam ki ada dekh ke yad aya hai
kis qadar jald badal jate hain insan jana
zindagi teri ata thi so tere nam ki hai
ham ne jaise bhi basar ki tera ehsan jana
dil ye kahata hai ki shayad ho fasurda tu bhi
dil ki kya bat karain dil to hai nadan jana
avval-avval ki muhabbat ke nashe yad to kar
bepiye bhi tera chehara tha gulistan jana
akhir akhir to ye alam hai ki ab hosh nahin
rag-e-mina sulag uthi ki rag-e-jan jana
muddaton se ye alam na tavaqqo na ummid
dil pukare hi chala jata hai jana jana
ham bhi kya sada the ham ne bhi samajh rakha tha
gam-e-dauran se juda hai gam-e-jana jana
ab ki kuch aisi saji mahafil-e-yaran jana
sar-ba-zanu hai koi sar-ba-gireban jana
har koi apani hi avaz se kanp uthata hai
har koi apane hi saye se hirasan jana
jis ko dekho vahi zanjir-ba-pa lagata hai
shahar ka shahar hua dakhil-e-zindan jana
ab tera zikr bhi shayad hi gazal main aye
aur se aur hua dard ka unvan jana
ham ki ruthi hui rut ko bhi mana lete the
ham ne dekha hi na tha mausam-e-hijran jana
hosh aya to sabhi khvab the reza-reza
jaise urate huye auraq-e-pareshan jana
Read more »

Ab Ke Ham Bichhare To Shaayad Kabhii Khvaabon Main Milain


ab ke ham bichhare to shaayad kabhii Khvaabon main milain
jis tarah suukhe hue phuul kitaabon main milain
dhondh ujare hue logon main vafaa ke motii
ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabon main milain
tuu Khudaa hai na meraa ishq farishton jaisaa
donon insaan hain to kyon itane hijaabon main milain
Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar main shaamil kar lo
nashaa barataa hai sharabain jo sharaabon main milain
aaj ham daar pe khainche gaye jin baaton par
kyaa ajab kal wo zamaane ko nisaabon main milain
ab na wo main hon na tu hai na wo maazii hai `Faraaz'
jaise do shaKhs tamannaa ke saraabon main milain
Read more »

Aankh Se Duur Na Ho Dil Se Utar Jaayegaa


aankh se duur na ho dil se utar jaayegaa
vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa
itanaa maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apanii
tuu kabhii Khud ko bhii dekhegaa to dar jaayegaa
tum sar-e-raah-e-vafaa dekhate rah jaaoge
aur wo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa
zindagii terii ataa hai to ye jaanevaalaa
terii baKhshiish terii dahaliiz pe dhar jaayegaa
duubate duubate kashtii to ochhaalaa de don
main nahiin koii to saahil pe utar jaayegaa
zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa 'Faraz'
zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa

Read more »

Thursday, June 9, 2011

Durood-e-salam-1


Read more »

Durood-e-salam-2


Read more »

Durood-e-salam-3


Read more »

Durood-e-salam-4


Read more »

Durood-e-salam-5


Read more »

Durood-e-salam-6


Read more »

Durood-e-salam-7


Read more »

Durood-e-salam-8


Read more »

Durood-e-salam-9


Read more »

Durood-e-salam-10


Read more »

Durood-e-salam-11


Read more »

Durood-e-salam-12


Read more »

Durood-e-salam-15


Read more »

Durood-e-salam-14


Read more »

Durood-e-salam-13


Read more »

Durood-e-salam-12


Read more »

Durood-e-salam-11


Read more »

Durood-e-salam-10


Read more »

Durood-e-salam-9


Read more »

Durood-e-salam-8


Read more »

Durood-e-salam-7


Read more »

Durood-e-salam-6


Read more »

Durood-e-salam-5


Read more »

Durood-e-salam-4


Read more »

Durood-e-salam-3


Read more »

Durood-e-salam-2


Read more »

Tuesday, June 7, 2011

Durood-e-Salam-1

Read more »

tujh se mil ker bhi kuch khafa hein hum

tujh se mil ker bhi kuch khafa hein hum
be-maruwut nahin tau kya hein hum

hum ghum-e karwaan mein baithe thay
laug sumjhe shikasta pa hein hum

is turhan se humein raqeeb milay
jaise mudat ke aashna hein hum

raakh hein hum agar yeh aag bujhi
juz ghum-e dost aur kya hein hum

khud ko sunte hein iss turhaaN jaise
waqt ki aakhri sadaa hein hum

kyon zamane ko dein Faraz ilzaam
wo nahin hein tu be wafa hein hum
Read more »

na hareef-e jaan, na shareek-e ghum...........

na hareef-e jaan, na shareek-e ghum, shub-e intazaar koi tau ho
kise buzm-e shauk mei lain hum, dil-e be-qarar koi tau ho

kise zindagi hai aziz ab, kise aarzoo-e shub-e taurub
magar ai nigar-e wafa talub, tera aitebar koi tau ho

kahin taar daman-e gul milay tau yeh maan lain keh chamun khile
keh nishan fasul-e bahar ka sur-e shakhsaar koi tau ho

yeh udaas udaas se baam-o dar, yeh ujar ujar si rah guzr
chalo hum nahin na sahi magar sir-e ku'a yaar koi tau ho

yeh sakoon-e jaan ki ghari dhale tau chiragh-e dil hi na bujh chale
wo bala se ho ghum-e ishq ya ghum-e rozgaar koi tau ho

sir-e muqtil-e shub-e aarzoo hai kuch tau ishq ki aabroo
jo nahin aadoo tau Faraz tu keh naseeb-e daar koi tau ho
Read more »

ho'yee hai shaam tau aankhoon mein bus.............

ho'yee hai shaam tau aankhoon mein bus gaya phir tu
kahan gaya hai meray shehr ke musafir tu

mein jaan ta hoon keh dunya tujhe badl de gi
mein maan ta hoon keh aisa naheen bazahir tu

bicharna hai tau hansi khushi se bichar ja
yeh kya sochta hai hur muqaam peh aakhir tu

Faraz tu ne oose mushkiloon mein daal dya
zamana sahib-e zar aur sirf shair tu
Read more »

ab aur kya kisi se marasim burha'ein hum............

ab aur kya kisi se marasim burha'ein hum
yeh bhi bohut hai, tujhe bhool ja'ein hum

sehra-e zindagi mein koyee dosra na tha
sunte rahe hein aap hi apni sada'ein hum

iss zindagi mein itni fraghat kise naseeb
itna na yaad aa ke tujhe bhool ja'ein hum

tu itni dil zada tau na thi ai shub-e firaq
aa tere raaste mein sitare lota'ein hum

woh log ab kahan hein jo kehte they kal faraz
heh heh khuda na karda tujhe bhi rula'ein hum
Read more »

kaun aata hai magar aas laga'ay rukhna

kaun aata hai magar aas laga'ay rukhna
umr bhar dard ki shuma'on ko jala'ay rukhna

dost pursish peh mosr aur hamara shaiwa
apne ahwaal ko khudh se bhi chupa'ay rukhna

oos ki chuka chaund mein aankhein bhi gunwaa baidho gay
oos ke hoote huay pulkoon ko jhuka'ay rukhna
Read more »

runjish hi sahi, dil hi dokhanay ke liye aa............

runjish hi sahi, dil hi dokhanay ke liye aa
aa phir se mujhe chor ke jaanay ke liye aa

kuch tau meray pindar-e mohabbat ka bharam rukh
tu bhi tau kabhi mujh ko mananay ke liye aa

pehle se marasim na sahi phir bhi kabhi tau
rusm-o rah-e dunya hi nibhanay ke liye aa

kis kis ko bataein gay joda'yee ka sabab hum
tu mujh se khafa hai tau zamanay ke liye aa

ik umr se hoon lazat-e giryaa se bhi mehroom
ai rahat-e jaan mujh ko rulanay ke liye aa

ab tuk dil-e khush feham ko tujh se hein umidein
yeh aakhari shumein bhi bujhanay ke liye aa
Read more »

Aankh Se Duur Na Ho Dil Se Utar Jaayegaa.............

aankh se duur na ho dil se utar jaayegaa
vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa

itanaa maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apanii
tuu kabhii Khud ko bhii dekhegaa to dar jaayegaa

tum sar-e-raah-e-vafaa dekhate rah jaaoge
aur wo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa

zindagii terii ataa hai to ye jaanevaalaa
terii baKhshiish terii dahaliiz pe dhar jaayegaa

duubate duubate kashtii to ochhaalaa de don
main nahiin koii to saahil pe utar jaayegaa

zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa 'Faraz'
zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa
Read more »

Ab Ke Ham Bichhare To Shaayad Kabhii Khvaabon Main Milain.........

ab ke ham bichhare to shaayad kabhii Khvaabon main milain
jis tarah suukhe hue phuul kitaabon main milain

dhondh ujare hue logon main vafaa ke motii
ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabon main milain

tuu Khudaa hai na meraa ishq farishton jaisaa
donon insaan hain to kyon itane hijaabon main milain

Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar main shaamil kar lo
nashaa barataa hai sharabain jo sharaabon main milain

aaj ham daar pe khainche gaye jin baaton par
kyaa ajab kal wo zamaane ko nisaabon main milain

ab na wo main hon na tu hai na wo maazii hai `Faraaz'
jaise do shaKhs tamannaa ke saraabon main milain 
Read more »

Ab Ke Tajdid-E-Vafa Ka.................

ab ke tajdid-e-vafa ka nahin imkan jana
yad kya tujh ko dilayain tera paiman jana

yon hi mausam ki ada dekh ke yad aya hai
kis qadar jald badal jate hain insan jana

zindagi teri ata thi so tere nam ki hai
ham ne jaise bhi basar ki tera ehsan jana

dil ye kahata hai ki shayad ho fasurda tu bhi
dil ki kya bat karain dil to hai nadan jana

avval-avval ki muhabbat ke nashe yad to kar
bepiye bhi tera chehara tha gulistan jana

akhir akhir to ye alam hai ki ab hosh nahin
rag-e-mina sulag uthi ki rag-e-jan jana

muddaton se ye alam na tavaqqo na ummid
dil pukare hi chala jata hai jana jana

ham bhi kya sada the ham ne bhi samajh rakha tha
gam-e-dauran se juda hai gam-e-jana jana

ab ki kuch aisi saji mahafil-e-yaran jana
sar-ba-zanu hai koi sar-ba-gireban jana

har koi apani hi avaz se kanp uthata hai
har koi apane hi saye se hirasan jana

jis ko dekho vahi zanjir-ba-pa lagata hai
shahar ka shahar hua dakhil-e-zindan jana

ab tera zikr bhi shayad hi gazal main aye
aur se aur hua dard ka unvan jana

ham ki ruthi hui rut ko bhi mana lete the
ham ne dekha hi na tha mausam-e-hijran jana

hosh aya to sabhi khvab the reza-reza
jaise urate huye auraq-e-pareshan jana
Read more »

Ab Kis Ka Jashn Manate Ho Us Des Ka Jo Taqsim Hua.......

ab kis ka jashn manate ho us des ka jo taqsim hua
ab kis k git sunate ho us tan-man ka jo do-nim hua

us khvab ka jo reza reza un ankhon ki taqdir hua
us nam ka jo tukra tukra galiyon main be-tauqir hua

us parcham ka jis ki hurmat bazaron main nilam hui
us mitti ka jis ki hurmat mansub udu k nam hui

us jang ko jo tum har chuk us rasm ka jo jari bhi nahin
us zakhm ka jo sine pe na tha us jan ka jo vari bhi nahin

us khun ka jo badqismat tha rahon main bahaya tan main raha
us phul ka jo beqimat tha angan main khila ya ban main raha

us mashriq ka jis ko tum ne neze ki ani marham samajha
us magrib ka jis ko tum ne jitna bhi luta kam samajha

un masumon ka jin k lahu se tum ne farozan raten kin
ya un mazlumon ka jis se khanjar ki zuban main baten kin

us mariyam ka jis ki iffat lutti hai bhare bazaron main
us isa ka jo qatil hai aur shamil hai gamkhvaron main

in nauhagaron ka jin ne hamain khud qatl kiya khud rote hain
aise bhi kahin damsaz hue aise jallad bhi hote hain

un bhuk nange dhanchon ka jo raqs sar-e-bazar karain
ya un zalim qazzaqon ka jo bhes badal kar var karain

ya un Jhute iqraron ka jo aj talak aifa na hue
ya un bebas lacharon ka jo aur bhi dukh ka nishana hue

is shahi ka jo dast-ba-dast ai hai tumhare hisse main
kyon nang-e-vatan ki bat karo kya rakha hai is qisse main

ankhon main chupaye ashkon ko honthon main vafa k bol liye
is jashn main bhi shamil hun nauhon se bhara kashkol liye
Read more »

Har Aik Baat Na Kyun Zahar Se Hamari Lagay...........

Har Aik Baat Na Kyun Zahar Se Hamari Lagay
Read more »

Aise Chup Hain Ke Ye Manzil Bhi Kari Ho Jaise..............

aise chup hain ke ye manzil bhi kari ho jaise
teraa milanaa bhi judaai ki ghari ho jaise

apane hi saaye se har gaam laraz jaataa hon
raaste main koi divaar khari ho jaise

manzilain duur bhi hain manzilain nazadik bhi hain
apane hi paaon main zanjir pari ho jaise

kitane naadaan hain tere bhulane vaale ke tujhe
yaad karane ke liye umr pari ho jaise

aaj dil khol ke roye hain to yon Khush hai 'Faraz'
chand lamhon ki ye raahat bhi bari ho jaise
Read more »

Saturday, June 4, 2011

Badan Main Aag Si Cheharaa Gulaab Jaisaa Hai

badan main aag si cheharaa gulaab jaisaa hai
ke zahar-e-gam kaa nashaa bhi sharaab jaisa hai

kahaan wo qurb ke ab to ye haal hai jaise
tere firaaq kaa aalam bhi khvaab jaisa hai

magar kabhi koi dekhe koi parhe to sahi
dil aainaa hai to cheharaa kitaab jaisa hai

wo samane hai magar tishnagi nahin jaati
ye kyaa sitam hai ke dariyaa saraab jaisa hai

'Faraz' sang-e-malaamat se zakhm zakhm sahi
hamain aziz hai khaanaakharaab jaisa hai
Read more »

Barason Ke Baad Dekhaa Ik Shakhs Dilrubaa Sa..........

barason ke baad dekhaa ik shakhs dilrubaa sa
ab zahan main nahin hai par naam thaa bhalaa sa

abaruu khinche khinche se aankhain jhuki jhuki si
baatain ruki ruki si lahajaa thakaa thakaa sa

alfaaz the ke jugnuu aavaaz ke safar main
ban jaaye jangalon main jis tarah raastaa sa

khvaabon main khvaab us ke yaadon main yaad us ki
nindon main ghul gayaa ho jaise ke ratjagaa sa

pahale bhi log aaye kitane hi zindagi main
wo har tarah se lekin auron se thaa judaa sa

agali muhabbaton ne wo naamuraadiyaan din
taazaa rafaaqaton se dil thaa daraa daraa sa

kuchh ye ke muddaton se ham bhi nahin the roye
kuchh zahar main bujhaa thaa ahabaab kaa dilaasa

phir yon huaa ke savan aankhon main aa base the
phir yon huaa ke jaise dil bhi thaa aabalaa sa

ab sach kahain to yaaro ham ko khabar nahin thi
ban jaayegaa qayaamat ik vaaqiaa zaraa sa

tevar the berukhi ke andaaz dosti ke
wo ajanabi thaa lekin lagataa thaa aashnaa sa

ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit
naahaq thaa zonum ham ko jab wo nahin thaa pyaasa

ham ne bhi us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan
apanaa bhi haal hai ab logo 'Faraz' kaa sa
Read more »
beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa
tum bhii auron kii tarah mujh se judaa ho jaanaa

main bhii palakon pe sajaa longaa lahuu kii bondain
tum bhii paabastaa-e-zanjiir-e-hiinaa ho jaanaa

Khalq kii sangzanii merii Khataaon kaa silaa
tum to maasuum ho tum duur zaraa ho jaanaa

ab mere vaaste tariyaq hai ilhaad kaa zahar
tum kisii aur pujaarii ke Khudaa ho jaanaa
Read more »

Chere Main Ne Kabhi Lab-O-Rukhsar Ke Qisse..........

chere main ne kabhi lab-o-rukhsar ke qisse
gahe gul-o-bulbul ki hikaayat ko nikhaaraa

gahe kisi shahazaade ke afsane sunaaye
gahe kyaa duniyaa-e-paristaan kaa nazaaraa

main khoyaa rahaa jin-o-malaik ke jahaan main
har lahajaa agarche mujhe aadam ne pukaaraa

barason yon hi diljami-e-aurang ki khaatir
sau phuul khilaaye kabhi sau zakhm kharide

main likhataa rahaa hijv bagaavat manshon ki
main parhataa rahaa qasrnashinon ke qaside

ubharaa bhi agar dil main koi jazabaa-e-sarkash
is khauf se chup thaa ke koi honTh na si de

lekin ye tilismaat bhi taa der na rah paaye
aakhir mai-o-minaa-o-daf-o-chang bhi TuutTe

yon dast-o-garebaan huaa insan-o-khudaaband
nakhachir to tarape qafas-e-rang bhi TuuTe

is kashmakash-e-zarraa-o-anjum ki fizaa main
kashkol to kyaa afsar-o-aurang bhi TuuTe

main dekh rahaa thaa mere yaaron ne barhakar
qaatil ko pukaaraa kabhi maqtal ko sadaa di

gahe rasn-o-daar ke aagosh main jhuule
gahe haram-o-dair ki buniyaad hilaa di

jis aag se bharpuur thaa maahaul kaa sinaa
wo aag mere lauh-o-qalam ko bhi pilaa di

aur aaj shikastaa huaa har tauq-e-talaai
ab fan meraa darbaar ki jagir nahin hai

ab meraa hunar hai mere jamahuur ki daulat
ab meraa junon kaif-e-taazir nahin hai

ab dil pe jo guzaregi be-Tok kahongaa
ab mere qalam main koi zanjir nahin hai
Read more »

Ab Ka Root Badli Tu Khusboo Ka Safar Dakhaa Ga Kon...............

Ab Ka Root Badli Tu Khusboo Ka Safar Dakhaa Ga Kon
Read more »

Dost Ban Kar Bhii Nahiin Saath Nibhane Wala

dost ban kar bhii nahiin saath nibhane wala
vahii andaaz hai zaalim kaa zamaanevaalaa

ab ise log samajhate hain giraftaar meraa
saKht nadiim hai mujhe daam main laanevaalaa

kyaa kahain kitane maraasim the hamaare is se
wo jo ik shaKhs hai monh pher ke jaanevaalaa

tere hote hue aa jaatii thii saarii duniyaa
aaj tanhaa hon to koii nahiin aanevaalaa

muntazir kis kaa hon TuuTii huii dahaliiz pe main
kaun aayegaa yahaan kaun hai aanevaalaa

main ne dekhaa hai bahaaron main chaman ko jalate
hai koii Khvaab kii taabiir bataanevaalaa

kyaa Khabar thii jo merii jaan main ghulaa hai itanaa
hai vahii mujh ko sar-e-daar bhii laane vaalaa

tum taqalluf ko bhii iKhalaas samajhate ho 'Faraz'
dost hotaa nahiin har haath milaanevaalaa
Read more »

Faraz Ab Koi Sauda Koi Junun Bhi Nahin............

'Faraz' ab koi sauda koi junun bhi nahin
magar qarar se din kat rahe hon yun bhi nahin

lab-o-dahan bhi mila guftagu ka fun bhi mila
magar jo dil pe guzarati hai kah sakun bhi nahin

meri zuban ki luknat se badguman na ho
jo tu kahe to tujhe umr bhar milun bhi nahin

'Faraz' jaise koi diya turbat-e-hava chahe hai
tu pas aye to mumkin hai main rahun bhi nahin
Read more »

Har Tamashai Faqat Sahil Se Manzar Dekhta............

Har Tamashai Faqat Sahil Se Manzar Dekhta
sun to sahii jahaan main hai teraa fasaanaa kyaa
kahti hai tujh se Khalq-e-Khudaa Gaibanaa kya

zina saba kaa Dhundati hai apni musht-e-Khaak
baam-e-baland yaar ka hai astana kya

ati hai kis tarah se meri kabz-e-ruuh ko
dekhun to maut dhund rahe hai bahana kya

betab hai kamal hamara dil-e-aziim
mahmaan saray-e-jism ka hoga ravana kya 
Read more »

Gile Fuzul The Ahad-E-Vafa K Hote Hue...........


gile fuzul the ahad-e-vafa k hote hue
so chup raha sitam-e-narava k hote hue

ye qurbaton main ajab fasle pare k mujhe
hai ashna ki talab ashna k hote hue

vo hilagar hain jo majburiyan shumar karain
chirag ham ne jalayen hava k hote huye

na kar kisi pe bharosa k kashtiyan dubin
khuda k hote huye nakhuda k hote huye

kaise khabar hai k kasa-ba-dast phirte hain
bahut se log saron par huma k hote hue

'Faraz' aise bhi lamhen kabhi kabhi aye
k dil girifta raha dilruba k hote hue 
Read more »

Himmat-E-Iltija Nahin Baqi.............

himmat-e-iltija nahin baqi
zabt ka hausla nahin baqi

ik teri did chin gai mujh se
warna duniya main kya nahin baqi

apni mashq-e-sitam se hath na khench
main nahin ya wafa nahin baqi

teri chashm-e-alamnawaz ki khair
dil main koi gila nahin baqi

ho chuka khatm ahad-e-hijr-o-wisal
zindagi main maza nahin baqi 
Read more »

Huii Hai Shaam To Aankhon Main Bas Gayaa Phir Tuu

huii hai shaam to aankhon main bas gayaa phir tuu
kahaan gayaa hai mere shahar ke musaafir tuu

bahut udaas hai ik shaKhs tere jaane se
jo ho sake to chalaa aa usii kii Khaatir tuu

merii misaal ki ik naKhl-e-Khushk-e-saharaa hon
teraa Khayaal ki shaaKh-e-chaman kaa taair tuu

main jaanataa hon ke duniyaa tujhe badal degii
main maanataa hon ke aisaa nahiin bazaahir tuu

hansii Khushii se bichhar jaa agar bichharanaa hai
ye har maqaam pe kyaa sochataa hai aaKhir tuu

'Faraz' tuune use mushkilon main daal diyaa
zamaanaa saahib-e-zar aur sirf shaayar tuu 
Read more »

Inhin Khushgumaniyon Main Kahin Jan Se Bhi Na Jao............

inhin khushgumaniyon main kahin jan se bhi na jao
vo jo charagar nahin hai use zaKhm kyun dhikhao

ye udasiyon k mausam kahin rayegan na jayen
kisi zaKhm ko kuredo kisi dard ko jagao

vo kahaniyan adhuri jo na ho sakaingi puri
unhen main bhi kyun sunaun unhen tum bhi kyun sunao

mere hamsafar purane mere ab bhi muntazir hain
tumhen sath chorna hai to abhi se chor jao

ye judaiyon k raste bari dur tak gaye hain
jo gaya vo phir na lauta meri bat man jao

kisi bevafa ki khatir ye junun 'Faraz' kab tak
jo tumhen bhula chuka hai use tum bhi bhul jao
Read more »

Is Daur-E-Bejunun Ki Kahani Koi Likho.............

is daur-e-bejunun ki kahani koi likho
jismon ko barf khun ko pani koi likho

koi kaho k hath qalam kis tarah hue
kyun ruk gai qalam ki ravani koi likho

kyon ahal-e-shauq sar-va-gareban hain dosto
kyon khun-ba-dil hai ahad-e-javani koi likho

kyon surma-dar-gulu hai har ek tayar-e-sukhan
kyon gulsitan qafas ka hai sani koi likho

han taza sanehon ka kare kaun intazar
han dil ki varadat purani koi likho
Read more »

Is Qadar Musalsal Thin Shidaten Judai Ki................

is qadar musalsal thin shidaten judai ki
aj pahali bar main ne us sa bevafai ki

varana ab talak yun tha khvahishon ki barish main
ya to tut kar roya ya gazalsarai ki

taj diya tha kal jin ko ham ne teri chahat main
aj un se majburan taza ashanai ki

ho chala tha jab mujh ko ikhtilaf apne se
tune kis ghari zalim meri hamnavai ki

tanz-o-tana-o-tohmat sab hunar hain naseh k
ap se koi puche ham ne kya burai ki

phir qafas main shor utha qaidiyon ka aur sayyad
dekhrna ura dega phir khabar rihai ki
Read more »

Is Se Pahale Ke Bevafa Ho Jayain

is se pahale ke bevafa ho jayain
kyon na ai dost ham juda ho jayain

tu bhi hire se ban gaya patthar
ham bhi kal kya se kya ho jayain

ham bhi majaburiyon ka uzr karain
aur kahin aur mubtala ho jayain

ishq bhi khel hai nasibon ka
khak ho jayain kimiya ho jayain

ab ke gar tu mile to ham tujh se
aise lipatain teri qaba ho jayain

bandagi ham ne cho.d di hai 'Faraz'
kya karain log jab khuda ho jayain 
Read more »

Juz Tere Koi Bhi Din Rat Na Jane Mere

juz tere koi bhi din rat na jane mere
tu kahan hai magar ai dost purane mere

tu bhi khushbu hai magar mera tajassus bekar
barq-e-avara ki manind thikhane mere

shama ki lau thi ke wo tu tha magar hijr ki rat
der tak rota raha koi sirhane mere

khalq ki bekhabari hai ke meri rusavai
log mujh ko hi sunate hain fasane mere

lut ke bhi khush hon ke ashkon se bhara hai daman
dekh garatgare dil ye bhi khazane mere

aj ik aur baras bit gaya us ke bagair
jis ke hote hue hote the zamane mere

kash tu bhi meri avaz sunata ho
phir pukare hai tujhe dil ki sada ne mere

kash tu bhi kabhi ajaye masihai ko
log ate hain bahut dil ko dukhane mere

kash auron ki tarah main bhi kah sakata
bat sun li hai meri aj khuda ne mere

tu hai kis hal main ai zudfaramosh mere
mujh ko to chin liya ahad-e-vafa ne mere

charagar yon to bahut hain magar ai jan-e-'Faraz'
juz tere aur koi gam na jane mere
Read more »

Kaha Tha Kis Ne Ke Ahad-E-Vafa Karo Us Se..............

kaha tha kis ne ke ahad-e-vafa karo us se
jo yon kiya hai to phir kyon gila karo us se

ye ahl-e-baz tunak hausala sahi phir bhi
zara fasana-e-dil ibtida karo us se

ye kya ke tum hi gam-e-hijr ke fasane kaho
kabhi to us ke bahane suna karo us se

nasib phir koi taqrib-e-qarb ho ke na ho
jo dil main hon vahi batain kiya karo us se

'Faraz' tark-e-ta'alluq to khair kya hoga
yahi bahut hai ke kam kam mila karo us se
Read more »

Karon Na Yad Agar Kis Tarah Bhulaon Use..........

karon na yad agar kis tarah bhulaon use
gazal bahana karon aur gungunaon use

wo khar-khar hai shakh-e-gulab ki manind
main zakhm-zakhm hon phir bhi gale lagaon use

ye log tazakare karate hain apne logon se
main kaise bat karon aur kahan se laon use

magar wo zudfaramosh zud ranj bhi hai
ke ruth jaye agar yad kuch dilaon use

vahi jo daulat-e-dil hai vahi jo rahat-e-jan
tumhari bat pe ai nasiho ganvaon use

jo hamsafar sar-e-manzil bichar raha hai 'Faraz'
ajab nahin ki agar yad bhi na aon use
Read more »

Khamosh Ho Kyon ............

Khamosh ho kyon daad-e-jafaa kyon nahin dete
bismil ho to qaatil ko duaa kyon nahin dete

vahashat kaa sabab ruuzan-e-zindaan to nahin hai
mahar-o-maah-o-anjum ko bujhaa kyon nahin dete

ik ye bhi to andaaz-e-ilaaj-e-Gam-e-jaan hai
ai chaaraagaro dard barhaa kyon nahin dete

munsif ho agar tum to kab insaaf karoge
mujarim hai agar ham to sazaa kyon nahin dete

rahazan ho to haazir hai mataa-e-dil-o-jaan bhi
rahabar ho to manzil kaa pataa kyon nahin dete

kyaa bit gai ab ke 'Faraz' ahal-e-chaman par
yaaraan-e-qafas mujh ko sadaa kyon nahin dete
Read more »

Kuchh Na Kisii Se Bolainge.............

khvab marte nahin
khvab dil hain na ankhen na sansen k jo
reza-reza hue to bikhar jayenge
jism ki maut se ye bhi mar jayenge

khvab marte nahin
khvab to raushani hain, nava hain, hava hain
jo kale paharon se rukte nahin
zulm k dozakhon se bhi phukate nahin
raushani aur nava aur hava k alam
maqtalon main pahunch kar bhi jhukate nahin

khvab to harf hain
khvab to nur hain
khvab to suqrat hain
khvab mansur hain
Read more »

Kuchh Na Kisii Se Bolainge

kuchh na kisii se bolainge
tanhaaii main ro lainge

ham berahabaron kaa kyaa
saath kisii ke ho lainge

Khud to hue rusavaa lekin
tere bhed na kholainge

jiivan zahar bharaa saaGar
kab tak amrit gholainge

niind to kyaa aayegii 'Faraz'
maut aaii to so lainge 
Read more »

Kuch Muhtasibon K Khilwat Main............

kuch muhtasibon k khilwat main kuch waiz k ghar jati hai
ham bada-kashon k hise ko ab jam main kam kam ati hai

yun arz-o-talab se kab ai dil patthar-dil pani hote hain
tum lakh raza k khu dalo kab khu-e-sitamgar jati hai

bedad-garon ki basti hai yan dad kahan fariyad kahan
sar phorti phirti hai nadan fariyad jo dar dar jati hai

han ji k zayan k ham ko bhi tashwish hai lekin kya kjiye
har rah jo udhar ko jati hai maqtal se guzar kar jati hai

ab kucha-e-dilbar ka rah-rau rahzan bhi bane to bat bane
pahre se udu talte hi nahin aur rat barabar jati hai

ham ahal-e-qafas tanha bhi nahin har roz nasim-e-subah-e-watan
yadon se muattar ati hai ashkon se munawwar jati hai
Read more »

Main To Avara Shayar Hon Meri Kya Vaqat.............

main to avara shayar hon meri kya vaqat
ek do git pareshan se ga leta hon

gahe gahe kisi nakam sharabi ki tarah
ek do zahar ke sagar bhi charha leta hon

tu ke ik vadi-e-gulrang ki shahzadi hai
ek bekar se insan ke liye vaqf na ho

tere khvabon ke jaziron main bari raunaq hai
ek anjan se tufan ke liye vaqf na ho
Read more »

Jo Bhi Dukh Diya Na Tha Yard Aaya.............

Jo Bhi Dukh Diya Na Tha Yard Aaya
Read more »

Friday, June 3, 2011

Muttafavatain Hain Mere Khuda..............

muttafavatain hain mere khuda ki ye tu nahin koi aur hai
ki tu asaman pe ho to ho pisar-e-zamin koi aur hai

wo jo raste the vafa ke the ye jo manzilain hain saza ki hain
mera hamsafar koi aur tha mera hamnashin koi aur hai

mere jism-o-jan main tere siva aur koi bhi dusra
mujhe phir bhi lagta hai is tarah ki kahin kahin koi aur hai

main asir apne gazal ka main faqir dasht-e-visal ka
jo hiran ko bandh ke le gaya wo subuktagin koi aur hai
Read more »

Payam Aye Hain Us Yar-E-Bevafa K Mujhe............

payam aye hain us yar-e-bevafa k mujhe
jise qarar na aya kahi bhula k mujhe

nashe se kahun to nahin yad-e-yar ka alam
k la ura hai koi dosh par hava k mujhe

judaiyan hon to aisi ki umr bhar na mile
fareb to do zara silsile bara k mujhe

main Khud ko bhul chuka tha magar jahan vale
udas chor gaye aina dikha k mujhe
Read more »

Phir Usi Rahguzar Par Shayad............

phir usi rahguzar par shayad
ham kabhi mil sakain magar shayad

jan pahachan se kya hoga
phir bhi ai dost gaur kar shayad

muntazir jin ke ham rahe tum ho
mil gaye aur hamsafar shayad

jo bhi bichare hain kab mile hain 'Faraz'
phir bhi tu intazar kar shyad 
Read more »

Qurbaton Main Bhi Judai Ke Zamane Mange

qurbaton main bhi judai ke zamane mange
dil wo bemehar ki rone ke bahane mange

apana ye hal ke ji har chuke lut bhi chuke
aur muhabbat vahi andaz purane mange

ham na hote to kisi aur ke charche hote
khalqat-e-shahar to kahane ko fasane mange

dil kisi hal pe mane hi nahin jan-e-'Faraz'
mil gaye tum bhi to kya aur na jane mange
Read more »

Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhane Ke...........

Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye a
a phir se mujhe choor ke jane ke liye a

pahale se marasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye a

kis kis ko batayen ge judai ka sabab ham
tu mujh se Khafa hai to zamane ke liye a

kuchh to mere pindar-e-muhabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye a

ek umr se hoon lazzat-e-giriya se bhi maharum
ai rahat-e-jan mujh ko rulane ke liye a

ab tak dil-e-Khush faham ko tujh se hain ummidain
ye aKhiri shamain bhi bujhane ke liye a

mana ki muhabbat ka chupana bhi hai muhabbat
chupake se kisi roz yeh jatane ke liye a

jaise tujhe ate hain na anye ke bahane
aise hi kisi roz na jane ke liye a
Read more »

Dil Darakna Ki Sada Aati Hai Gahay...........

Dil Darakna Ki Sada Aati Hai Gahay
Read more »

Sakut-E-Sham-E-Khizan Hai Qarib A Jao

sakut-e-sham-e-Khizan hai qarib a jao
bara udas saman hai qarib a jao

na tum ko Khud pe bharosa na ham ko zom-e-vafa
na aitabar-e-jahan hai qarib a jao

rah-e-talab main kisi ko dhyan nahin
hujum-e-hamsafaran hai qarib a jao

jo dasht-e-ishq main bichren vo umr bhar na mile
yahan yahan dhuan hi dhuan hai qarib a jao

ye andhian hain to shahar-e-vafa ki Khair nahin
zamana khakfashan hai qarib a jao

faqih-e-shahar ki majalis nahin k dur raho
ye bazm-e-pir-e-magan hai qarib a jao

'Faraz' dur k suraj garub samajhe gaye
ye daur-e-kamnazara hai qarib a jao 
Read more »

Sholaa Thaa Jal-Bujhaa Hon..............

sholaa thaa jal-bujhaa hon havaayain mujhe na do
main kab kaa jaa chukaa hon sadaayain mujhe na do

jo zahar pii chukaa hon tumhiin ne mujhe diyaa
ab tum to zindagii kii duaayain mujhe na do

aisaa kahiin na ho ke palaTakar na aa sakon
har baar duur jaa ke sadaayain mujhe na do

kab mujh ko aiteraaf-e-muhabbat na thaa 'Faraaz'
kab main ne ye kahaa thaa sazaayain mujhe na do
Read more »

Bohut Haseen Hai Teri Aqedatoo..............

Bohut Haseen Hai Teri Aqedatoo Ka Ghulab
Read more »

Tarap Uthun Bhi To Zalim Teri Duhai Na Dun......

tarap uthun bhi to zalim teri duhai na dun
main zakhm zakhm hun phir bhi tujhe dikhai na dun

tere badan main dharakne laga hun dil ki tarah
ye aur bat k ab bhi tujhe sunai na dun

khud apne ap ko parakha to ye nadamat hai
k ab kabhi use ilzam-e-bevafai na dun

mujhe bhi dhundh kabhi mahv-e-ainadari
main tera aqs hun lekin tujhe dikhai na dun
Read more »

Tere Hote Hue Mahfil Main..............

ere hote hue mahfil main jalte hain chirag
log kya sada hain suraj ko dikhate hain chirag

apni mahrumiyo pe sharminda hain
Khud nahi rakhte to auro k bujhate hain chirag

bastiyan chand sitaro pe basane vale
kurra-e-arz bujhate jate hain chirag

kya Khabar hai un ko k daman bhi bharak uthte hain
jo zamane ki havaon se bachte hain chirag

aisi tarikiyan ankho main basi hain 'Faraz'
rat to rat ham din ko jalate hain chirag
Read more »

Tum Bhi Khafa Ho Log Bhi Beraham Hain......

tum bhi khafa ho log bhi beraham hain dosto
ab ho chala yaqin k bure ham hain dosto

kis ko hamare hal se nisbat hai kya karain
ankhain to dushmano ki bhi purnam hain dosto

apne siva hamare na hone ka gam kise
apni talash main to ham hi ham hain dosto

kuch aj sham hi se hai dil bhi bujha bujha
kuch shahar k chirag bhi madham hain dosto

is shahar-e-arzu se bhi bahar nikal chalo
ab dil ki raunaqain bhi koi dam hain dosto

sab kuch sahi 'Faraz' par itna zarur hai
duniya main aise log bahut kam hain dosto
Read more »

Thursday, June 2, 2011

Tuu Paas Bhi Ho To Dil Beqaraar Apanaa Hai............

tuu paas bhi ho to dil beqaraar apanaa hai
ke ham ko teraa nahin intazaar apanaa hai

mile koi bhi teraa zikr cheer dete hain
ke jaise saaraa jahaan raazdaar apanaa hai

wo duur ho to bajaa tark-e-dosti kaa khayaal
wo saamane ho to kab ikhtiyaar apanaa hai

zamaane bhar ke dukhon ko lagaa liyaa dil se
is aasare pe ke ik gamgusaar apanaa hai

'Faraz' raahat-e-jaan bhi vahi hai kyaa kije
wo jis ke haath se sinaafigaar apanaa hai
Read more »

Ukh Fasana Nahin K Tujh Se Kahen......

ukh fasana nahin k tujh se kahen
dil bhi mana nahin k tujh se kahen

aj tak apni bekhyali k sabab
khud bhi jana nahin k tujh se kahen

ek tu harfashna tha magar
ab zamana nahin k tujh se kahen

be-tarah dil hai aur tujh se
dostana nahin k tujh se kahen

ai khuda dard-e-dil hai bakhshish-e-dost
ab-o-dana nahin k tujh se kahen
Read more »

Us Ko Juda Hue Bhi Zamana Bahut Hua.....

us ko juda hue bhi zamana bahut hua
ab kya kahen ye qissa purana bahut hua

dhalti na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaq
ai marg-e-nagahan tera ana bahut hua

ham khuld se nikal to gaye hain par ai khuda
itne se vaqaye ka fasana bahut hua

ab ham hain aur sare zamane ki dushmani
us se zara rabt barhana bahut hua

ab kyon na zindagi pe muhabbat ko var den
is ashiqi main jan se jana bahut hua

ab tak to dil ka dil se tarruf na ho saka
mana k us se milna milana bahut hua

kya kya na ham kharab hue hain magar ye dil
ai yad-e-yar tera thikana bahut hua

kahta tha nasehon se mere munh na aio
phir kya tha ek hu ka bahana bahut hua

lo phir tere labon pe usi bevafa ka zikr 

ahmad 'Faraz' tujh se kaha na bahut hua
Read more »

Us Ne Kaha Sun..........

us ne kaha sun
ahad nibhane ki khatir mat ana
ahad nibhane vale aksar majaburi ya
mahajuri ki thakan se lauta karte hain
tum jao aur dariya dariya pyas bujhao
jin ankhon main dubo
jis dil main bhi utaro
meri talab avaz na degi
lekin jab meri chahat aur meri Khvahish ki lau
itni tez aur itni unchi ho jaye
jab dil rode
tab laut ana
Read more »

Vafa K Khvab Muhabbat Ka Asara Le Ja.............

vafa k khvab muhabbat ka asara le ja
agar chala hai to jo kuch mujhe diya le ja

maqam-e-sud-o-ziyan a gaya hai phir janan
ye zakhm mere sahi tir to utha le ja

yahi hai qismat-e-sahara yahi karam tera
k bund bund ata kar ghata ghata le ja

gurur-e-dost se itna bhi dilshikasta na ho
phir uth k samane daman-e-iltaja le ja

nadamaten hon to sar bar-e-dosh hota hai
'Faraz' jan k evaz abaru bacha le ja 
Read more »

Barsono Kay Bad Poem

Barsono Kay Bad Poem
Read more »

Ye Meri Gazlen Ye Meri Nazmain.............

ye meri gazlen ye meri nazmain tamam teri hikayaten hain
ye tazkary teri lutf k hain ye sher teri shikayaten hain

main sab teri nazr kar raha hun ye un zamanon ki s'aten hain
jo zindagi k naye safar main tujhe kisi roz yad ayen

to ek ek harf ji uthega pahan k anfas ki qabayen
udas tanahaiyon k lamhon main nach uthengi ye apasarayen

mujhe teri dard k alava bhi aur dukh the, ye janta hun
hazar gam the jo zindagi ki talash main the, ye janta hun

mujhe khabar hai ki teri anchal main dard ki ret chanta hun
magar har ek bar tujh ko chu kar ye ret rang-e-hina bani hai

ye zakhm gulzar ban gaye hain ye ahen-sozan ghata bani hai
ye dard mauj-e-saba hua hai ye ag dil ki sada bani hai

aur ab ye sari mata-e-hasti ye phul ye zakhm sab tere hain
ye dukh k nauhe ye sukh k nagmain jo kal mere the vo ab tere hain

jo teri qurbat teri judai main kat gaye roz-o-shab tere hain
vo tera shayar tera muganni vo jis ki baten ajib si thi

vo jis k andaz khusro-vana the aur adayen garib si thin
vo jis k jine ki khvahishen bhi khud us k apne nasib si thin

na puch us ka ki vo divana bahut dinon ka ujar chuka hai
vo kohakan to nahin tha lekin kari chattanon se lar chuka hai
vo thak chuka hai aur us ka tesha usi k sehan main gar chuka hai
Read more »

Zakhm Ko Phul To Sar Sar Ko Saba Kahte Hain.....

zakhm ko phul to sar sar ko saba kahte hain
jane kya daur hai kya log hain kya kahte hain

kya qayamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale
ab vahi log hamain abalapa kahte hain

koi batalao ke ik umr ka bichara mahabub
ittefaqan kahin mil jaye to kya kahte hain

ye bhi andaz-e-sukhan hai ke jafa ko teri
gamza-o-ishva-o-andaz-o-ada kahte hain

jab talak dur hai tu teri parastish kar lain
ham jise chu na sakain us ko khuda kahte hain

kya tajjub hai ke ham ahl-e-tamanna ko 'Faraz'
wo jo maharum-e-tamanna hain bura kahte hain
Read more »

Akhono Main Satrey Poem........

Akhono Main Satrey Poem
Read more »

Ye Kya K Sab Se Bayan Dil Ki Halaten Karni.....

ye kya k sab se bayan dil ki halaten karni
'Faraz' tujh ko na ain muhabbaten karani

ye qurb kya hai k tu samane hai aur hamain
shumar abhi se judai ki sa'aten karani

koi khuda ho k patthar jise bhi ham chahen
tamam umr usi ki ibadaten karni

sab apne apne qarine se muntazir us k
kisi ko shukr kisi ko shikayaten karani

ham apne dil se hain majabur aur logon ko
zara si bat pe barpa qayamaten karani

milen jab un se to mubaham si guftagu karna
phir apne ap se sau-sau vazahaten karani

ye log kaise magar dushmani nibhaten hain
hamin ko ras na ain muhabbaten karani

kabhi 'Faraz' naye mausamon main ro dena
kabhi talash purani raqabaten karani
Read more »

Us Ne Sukuut-E-Shab Main Bhii Apanaa Payaam Rakh Diyaa.............

us ne sukuut-e-shab main bhii apanaa payaam rakh diyaa
hijr kii raat baam par maah-e-tamaam rakh diyaa

aamad-e-dost kii naviid kuu-e-vafaa main aam thii
main ne bhii ik chiraaG-saa dil sar-e-shaam rakh diyaa

dekho ye mere Khvaab the dekho ye mere zaKhm hain
main ne to sab hisaab-e-jaan barsar-e-aam rakh diyaa

us ne nazar nazar main hii aise bhale suKhan kahe
main ne to us ke paanon main saaraa kalaam rakh diyaa

shiddat-e-tishnagii main bhii Gairat-e-maikashii rahii
us ne jo pher lii nazar main ne bhii jaam rakh diya

aur 'Faraz' chaahiiye kitanii muhabbatain tujhe
ke maaon ne tere naam par bachchon ka naam rakh diyaa
Read more »

Ajeeb Tarz-e-Mulaqat ab k bar rahi.......


tumhin the badle hue ya meri nigahen thin
tumhari nazron se lagta tha jaise meri bajaye
tumhare ghar main koi aur shakhs aya hai
tumhare ohad ki denen tumhen mubarak
so tum ne mera swagat usi tarah se kiya
jo afsaran-e-hukumat k aitaqad main hai
takallufan mere nazdik a k baith gaye
phir ehtamam se mausam ka zikr cher diya
kuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli
adab par bhi koi do char tabsare faramaye
magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha
kya waqt kaisa guzarta hai tera jan-e-hayat
pahar din ki aziyat main kitni shiddat hai
ujar rat ki tanhai kya qayamat hai
shabon ki sust rawi ka tujhe bhi shikwa hai
gam-e-firaq k qisse nishat-e-wasl ka zikr
rawayatan hi sahi koi bat to karte
Read more »

Zaroorat Tor Deti Hai Gharur O Byniazi Ko........


Zaroorat Tor Deti Hai Gharur O Byniazi Ko
Na Hoti Koi Majburi To Har Banda Khuda Hota
Read more »

wo to khushbu hai hawaon main bikhar jayega...........


wo to khushbu hai hawaon main bikhar jayega
masla phul ka hai phul kidhar jayega
ham to samjhe the k ek zakhm hai bhar jayega
kya khabar thi k rag-e-jan main utar jayega
wo hawaon ki tarah khanabajan phirta hai
ek jhonka hai jo ayega guzar jayega
wo jab ayega to phir us ki rafaqat k liye
mausam-e-gul mere angan main thahar jayega
akhir wo bhi kahin ret pe baithi hogi
tera ye pyar bhi dariya hai utar jayega
Read more »

Suna Hai Junglo Ka Bhi Koi Dastoor Hota Hai


Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai
Suna hai sher ka jab pait bhar jaaye
To wo hamla nahin kerta,
Suna hai jab kisi nadi k paani main
Bue k ghonsle ka gandami saaya larazta hai
To nadi ki ro pehli machhilyaan us ko
Parosi maan leti hain,
Hava k taiz jhonke jab darakhton ko hilaate hain
To Meena apne ghar ko bhool ker
Ka’uve k andon ko paron main thaam leti hai
Suna hai Ghonsle se jab koi bacha gire to
Saara jangle jaag jaata hai.
Naddi main baar aa jaaye
Koi Pull toot jaaye
To kisi lakri k takhte per
Gulahri, Saanp, Cheeta aur Bakri
Saath hote hain.
Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai,
Khuda-wanda Jaleel-o Mu’atbar, Daana-o Beena Munsif-o Akber,
HUMARE SHAHAR MAIN AB,
JANGLON KA HI KOI DASTOOR NAAFIZ KER..!!
Read more »

Mohabbaat Main Bhi Karti Hoon Magar…


Main apny dosti ko shahar main ruswa nahe karti
Mohabat main bhe karti hoon magar charcha nahe karti
Jo mujh se milnay aajaey main us ki dill se khadam hoon
Jo uth k jana chahay main us ko roka nahe karti
Jisay main chor daiti hoon usay phir bhool jati hoon
Phir us hasti ke janib main kabhi daikha nahe karti
Taira israr sar aankhon pe k tum ko bhool jaon main
Main koshish kar k daikhon ge magar waada nahe karti…
Read more »

Tumhare Khwaab Sajane Main Lutf Aata Hai...........


Tumhary “KHWAB” sajany me lutf aata hay,
K apne aap “JALANY” me lutf aata hay,
Khuda se apne liye “MAANGTi” hon jab tujh ko,
Mujhy ye “HATH” othany me lutf aata hay,
Teri “YAAD” me bas jaagty rahein shab bhar,
Khud apni “NEEND” churany me lutf aata hay,
Teri “ZAAT” se hay be_panah “PIYAR” hamein,
Tumhary “NAAZ” othany me lutf aata hay…!
Read more »

Na Khayaal Ho Libaas Ka – Parveen Shakir Romantic Urdu Poetry...........


KOI RAAT MERE ASHNA MUJHE YOUN B TO NASEEB HO
NA KHYAL HO LIBAS KA WO ITNA MERE QAREEB HO
BADAN KI GARAM AANCH SE MERI AARZU KO AAG DE
MERA JOSH B BEHAK UTHAY MERA HAAL B AJEEB HO
TERAY CHASHNI WAJOOD KA MAIN SARA RASS NICHOR LOON
PHIR TU HE MERA MARZ HO PHIR TU HE MERA TABEEB HO
Read more »

Wo Mere Dil Pe Nayaa Zakhm Lagaane Aaye


Kariyaa-E-Jaan Men Koi Phuul Khilaane Aaye
Wo Mere Dil Pe Nayaa Zakhm Lagaane Aaye
Mere Viiraan Dariichon Men Bhii Khushbuu Jaage
Vo Mere Ghar Ke Dar-O-Baam Sajaane Aaye
Us Se Ik Baar To Ruuthuun Main Usii Kii Maanind
Aur Merii Tarah Se Vo Mujh Ko Manaane Aaye
Isii Kuuche Men Kai Us Ke Shanaasaa Bhii To Hain
Vo Kisii Aur Se Milane Ke Bahaane Aaye
Ab Na Puuchhuungii Main Khoye Hue Khvaabon Kaa Pataa
Vo Agar Aaye To Kuchh Bhii Na Bataane Aaye
Zabt Kii Shahar-Panaahon Kii Mere Maalik Khair
Gam Kaa Sailaab Agar Mujh Ko Bahaane Aaye
Read more »

Mairay wajood ke jageer us ne mangi hai............


Mairay wajood ke jageer us ne mangi hai
Ajab khwab ke tabeer us ne maangi hai
Us ke qaid main rahti hoon main pahlay bhe
Na janay phir keon zanjeer us ne mangi hai
Gumaan hota hai wo bhool sakta hai mujhay
Keon k aj mairy tasveer us ne mangi hai
Mairay Khuda mujhay us k naseeb main likh de
Keh mujh se mairy taqdeer us ne mangi hai…
Read more »

Ajib tarz-e-mulaqat ab k bar rahi


Ajib tarz-e-mulaqat ab k bar rahi
tumhin the badle hue ya meri nigahen thin
tumhari nazron se lagta tha jaise meri bajaye
tumhare ghar main koi aur shakhs aya hai
tumhare ohad ki denen tumhen mubarak
so tum ne mera swagat usi tarah se kiya
jo afsaran-e-hukumat k aitaqad main hai
takallufan mere nazdik a k baith gaye
phir ehtamam se mausam ka zikr cher diya
kuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli
adab par bhi koi do char tabsare faramaye
magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha
kya waqt kaisa guzarta hai tera jan-e-hayat
pahar din ki aziyat main kitni shiddat hai
ujar rat ki tanhai kya qayamat hai
shabon ki sust rawi ka tujhe bhi shikwa hai
gam-e-firaq k qisse nishat-e-wasl ka zikr
rawayatan hi sahi koi bat to karte
Read more »

Ab Bhi Barsaat Ki Raaton Main Badan Toot’ta Hai..........


Kese Kahu Mujhe Chhor Diya Us Ne
Baat to sach hai Mgar Baat Hai Ruswai Ki
Woh Kahin Bhi Gaya, LOT to mere Paas Aaya
Buss Yehi Baat Hai Achhi Mere Harjai Ki
Tera Pehlu tere Dil Ki Tarah Abaad Rahe
Tujh pe Guzary Na Qayamat Shab-e-Tanhai Ki
Us Ne Jalti Hui Peshaani Pe Jabb Haath Rakha
Rooh Takk Aa Gai Taseer Maseehai Ki
Ab Bhi Barsaat Ki Raaton Main Badan Toot’ta Hai
Jaag Uth’ti Hain Ajab Khwaahishein Angraai Ki
Read more »

shadi k 20th salgirah pr HUSBND......................


shadi k 20th salgirah pr HUSBND gehri soch ma tha...
wife:kia soch rahe ho.....???
husbnd:kia tmhain yad hai tmhare bap ne hmain date prpkra tha...
wife:yes
hsbnd:or usne gun point pr mjhe kaha tha k ya to meri beti se shsdi krlo ya 20 saal k lye jail jao
wife smiles:yes
hsbnd:aaaah!!!!aj k din ma azad ho jata...
Read more »

Did You Know...!


Did You Know...!

This Year 2010, Two Months February and March has the same days and Dates.

1st February Monday and 1st March Monday till 28th.
Check it!
Its Amazing.......!
Read more »

Daku Mangal Singh Banta Ke..................


Daku Mangal Singh Banta Ke Ghar Mein Ghus Ayaa..

Daku : Sona kahan hai, Jaldi Bataao..!

Banta : Pura Ghar Khali Hai Malko, Jithe Marzi So Jao
Read more »

jise hamne chaha usko hum pa.................


jise hamne chaha usko hum pa na sake,
jisne hame chaha use chah na sake,
ye to dil tutane ka khel tha,
kisi ka toda apna bacha na sake.

Apna sath de ya Qaid-e-tanhai de.
Mujhe kuch bi day magar pyar intehi de.
Meri ankhon pe yun naqsh ahi aks tera.
Me khud ko bi dekho to tu dekhai de.
Read more »

When asked:.................


When asked:
?what is forgiveness??

A little girl gave this lovely reply:
?Its the sweet scent a flower gives after being crushed?.

Read more »

"Khushhali dee pa naseeb...............


Nice pushto Sms:

"Khushhali dee pa naseeb qadam qadam sha"
"pa manzil ki dee guloona dam pa dam sha"
"har sahar di da akhtar ghundi sahar sha"
"da ghamoonoo na di liree kor ow dar sha"
Message from HUSB
Read more »

Lets celebrate Men"s Day.. Bechara Mard...................


Lets celebrate Men"s Day.. Bechara Mard "Agar Aurat par hanth uthaye to Zalim, Aur Pit jaye to Buzdil, Aurat ko kisi ke santh dekh ladai kare to Jealous, agar chup rahe to Begairat. Ghar se bahar rahe to Awara aur ghar me rahe to Nakkara. Bacho ko daante to Zalim, Na daante to Laparwah. Aurat ko service se roke to Shakki Mizzaz. Na roke to aurat ki kamai khane wala.Akhir bechara Mard jaye to jaye kanha" Janhit me jaari,Naari hai Attyachari. 
Read more »

Wife, kitche se - Aji sunte ho? ..................


Wife, kitche se - Aji sunte ho? Ajkal mai khubsurat hoti ja rahi hoon. Husband: Tumne kaise jana? Wife: Aajkal meri khubsurti dekhkar rotiyan bhi jalne lagi hain.
Read more »

""BAT TO SACH HE MAGAR....."


""BAT TO SACH HE MAGAR....."

*hujom me kai sar hote hai lekin dimag nai hote.
*3aurto me raz rehsakta he basharte k in me se 2inteqal karchu ki ho.
*tajruba behtarin ustad he lekin is ustad ki fic bohut ziyada he.
*agar aap kisi bewaqof ki shikal nai dekhna chahte to sab se pahle apna aaina tordena chahiye."
Read more »

Ladki(Konsi Hai Bhai) Boli...................


Ladki(Konsi Hai Bhai) Boli : Chandni chaand se hoti hai, sitaron se nahi,
Mohabbat ek se hoti hai, hazaaron se nahi.
Baba Bhai Bole : Chandni agar chaand se hogi to sitaron ka kya hoga,
Mohabbat agar ek se hogi to hazaron ka kya hoga
Read more »

Hamary baad nahi aay ga ..............


Hamary baad nahi aay ga Tumhain chahat ka aesa Maza,

Tum logon sy khud kehtay phiro gay mujay chaho us ki Trah.....
Read more »

kyon na phir tujh sey milny ka irada kar.............


kyon na phir tujh sey milny ka irada kar lon

zakham ye sadiyon purana tar-o-taza kar lon

phir sey keh don usey ke tum meri aqeedat ho

phir sey guzra mohabaton ka eyada kar lon

sonp don ab yeh shokh tabiyat os ko

sochta hon ke khud ko is qadar saada kar lon

ya usey pa key bhula don dard-o-gham apny

ya us ke hijar ka gham aur bhi zayada kar lon

woh tu har kasam hans ke torr deta hai

phir naya kis tarah us sey koi waada kar lon..?
Read more »

Lag jay mari hayat ke lamhon


Lag jay mari hayat ke lamhon ki zindgi
` Qadam qadam pay mile ik khushi tumko
Andhairy raat may mil jay roshni tumko
Mari dua hai yeh kaash lag jay Mari hayat ke lamhon ki zindgi tumko
Duaoon ki bheer may main ik dua hai hamari Jis may mangi hum ne har khushi tumhari jab b muskrao aap dil se samjho dua qabool ho gai hamari
Khuda kare tu naik seerat ho Tari tara tara dil b khoobsurat ho Har dua se pehly mile tujko jo tu chahe Dua ko khud tare hathon ki zaroorat ho
Read more »

Wednesday, June 1, 2011

A life with love will have some thorns.................



A life with love will have some thorns,
but a life without love will have no roses.
Read more »

Yaad hai ham pehle...............


Yaad hai ham pehle kahan milte the...... train ruki, khidki khuli, nazro se nazre mili aur aapne kahan,..... ALLAH KE NAAM PE KUCH DE DE BABA!!!!!!

Read more »

teri raah mein main khari rahi..............

teri raah mein main khari rahi
Tujhe apne dil ki pari rahi
Tere hijar ka koi khauf tha
Osi khauf sey main dari rahi
Mere chaar soo mere aas paas
Tabhi khamshi bhi bari rahi
Kabhi laut"ty tou ye dekhty
Meri zaat koi salaib thi
Tabhi dard ke kisi church mein
Kisi dukh ki gehri zameen mein
Bari daiyr tak jo garri rahi...
Read more »

Yo come & leave things behind! .............

Yo come & leave things behind!

See now what u have left?

You just came in my mind and left a smile on my face
Read more »

Kis qadar zulm dhaya kertey ho...........


Kis qadar zulm dhaya kertey ho

Yeh jo tum bhool jaya kerte ho



Kis ka ab haath rakh ke seene per

Dil ki dhadhkan sunaya kerte ho



Hum jahan chaye peene jate thay

Kia wahan ab bhi aaya kerte ho



Kon hai ab ke jis ke chehre per

Apni palkon ka saaya kerte ho



Kiun mere dil mai rakh nahee dete

Kis liye gham uthaya kerte ho



Phone per geet jo sunate thay

Ab wo kis ko sunaya kerte ho



Akhiri khat mai usney likha tha

Tum mujhe yaad aaya kerte ho 
Read more »