Thursday, June 2, 2011

wo to khushbu hai hawaon main bikhar jayega...........


wo to khushbu hai hawaon main bikhar jayega
masla phul ka hai phul kidhar jayega
ham to samjhe the k ek zakhm hai bhar jayega
kya khabar thi k rag-e-jan main utar jayega
wo hawaon ki tarah khanabajan phirta hai
ek jhonka hai jo ayega guzar jayega
wo jab ayega to phir us ki rafaqat k liye
mausam-e-gul mere angan main thahar jayega
akhir wo bhi kahin ret pe baithi hogi
tera ye pyar bhi dariya hai utar jayega

No comments:

Post a Comment