Saturday, June 4, 2011

Faraz Ab Koi Sauda Koi Junun Bhi Nahin............

'Faraz' ab koi sauda koi junun bhi nahin
magar qarar se din kat rahe hon yun bhi nahin

lab-o-dahan bhi mila guftagu ka fun bhi mila
magar jo dil pe guzarati hai kah sakun bhi nahin

meri zuban ki luknat se badguman na ho
jo tu kahe to tujhe umr bhar milun bhi nahin

'Faraz' jaise koi diya turbat-e-hava chahe hai
tu pas aye to mumkin hai main rahun bhi nahin

No comments:

Post a Comment