Saturday, June 4, 2011

Huii Hai Shaam To Aankhon Main Bas Gayaa Phir Tuu

huii hai shaam to aankhon main bas gayaa phir tuu
kahaan gayaa hai mere shahar ke musaafir tuu

bahut udaas hai ik shaKhs tere jaane se
jo ho sake to chalaa aa usii kii Khaatir tuu

merii misaal ki ik naKhl-e-Khushk-e-saharaa hon
teraa Khayaal ki shaaKh-e-chaman kaa taair tuu

main jaanataa hon ke duniyaa tujhe badal degii
main maanataa hon ke aisaa nahiin bazaahir tuu

hansii Khushii se bichhar jaa agar bichharanaa hai
ye har maqaam pe kyaa sochataa hai aaKhir tuu

'Faraz' tuune use mushkilon main daal diyaa
zamaanaa saahib-e-zar aur sirf shaayar tuu 

No comments:

Post a Comment